har taraf nāla-o-fariyād ke manzar dekheñ
tujh ko dekheñ ki tirā shahr-e-sitamgar dekheñ
duur se vo nazar aa.egā bas ik saa.e sā
us ko dekheñ to zarā paas bulā kar dekheñ
chāñd sūraj na sitāre haiñ hamāre bas meñ
ek miTTī kā diyā hai so jalā kar dekheñ
ham badal sakte haiñ ḳhud ko ye baḌī baat nahīñ
shart itnī hai ki bāhar nahīñ andar dekheñ
mom sā us kā badan hai yahī kahte haiñ sab
jī meñ aatā hai chalo aaj use chhū kar dekheñ
aaj aḳhbār meñ aa.ī hai ġhazal 'hāris' kī
aadmī ḳhuub hai kaisā hai suḳhnavar dekheñ
har taraf nala-o-fariyaad ke manzar dekhen
tujh ko dekhen ki tera shahr-e-sitamgar dekhen
dur se wo nazar aaega bas ek sae sa
us ko dekhen to zara pas bula kar dekhen
chand suraj na sitare hain hamare bas mein
ek miTTi ka diya hai so jala kar dekhen
hum badal sakte hain KHud ko ye baDi baat nahin
shart itni hai ki bahar nahin andar dekhen
mom sa us ka badan hai yahi kahte hain sab
ji mein aata hai chalo aaj use chhu kar dekhen
aaj aKHbar mein aai hai ghazal 'haaris' ki
aadmi KHub hai kaisa hai suKHnawar dekhen
Leave a comment