Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahshar Badayuni

  • Ghazal


kisi thakan ko suKHan bana lun bhi bahut hai


kisī thakan ko suḳhan banā luuñ yahī bahut hai
maiñ chand fursat ke pal bachā luuñ yahī bahut hai

hunar kā haq to havā kī bastī meñ kaun degā
idhar maiñ apnā diyā jalā luuñ yahī bahut hai

ye hijr ke zaḳhm bhī baḌe lāla-kār dil haiñ
maiñ ghar ke rañgoñ se ghar sajā luuñ yahī bahut hai

vo ārifān-e-sabaq kahāñ ab jo dil baḌhā.eñ
maiñ sach likhūñ harf kī duā luuñ yahī bahut hai

thamī na yalġhār-e-vaqt kahtā hī rah gayā maiñ
abhī maiñ itnā hī bojh uThā luuñ yahī bahut hai

kisi thakan ko suKHan bana lun yahi bahut hai
main chand fursat ke pal bacha lun yahi bahut hai

hunar ka haq to hawa ki basti mein kaun dega
idhar main apna diya jala lun yahi bahut hai

ye hijr ke zaKHm bhi baDe lala-kar dil hain
main ghar ke rangon se ghar saja lun yahi bahut hai

wo aarifan-e-sabaq kahan ab jo dil baDhaen
main sach likhun harf ki dua lun yahi bahut hai

thami na yalghaar-e-waqt kahta hi rah gaya main
abhi main itna hi bojh uTha lun yahi bahut hai


Source: Book : auraq salnama magazines (Pg. 496) Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967) Edition : 1967

Leave a comment

+