Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jafar Sahni

  • Ghazal


jabin pe shahr ki likh kar faza udasi ki


jabīñ pe shahr kī likh kar fazā udāsī kī
bahut hai ḳhush koī de kar duā udāsī kī

hayāt pā na sakegī husain sī ḳhvāhish
samā.atoñ meñ hai jab tak sadā udāsī kī

falak ke chāñd sitāroñ meñ raushnī kam hai
mujhe to lagtī hai is meñ ḳhatā udāsī kī

chahaktī shaam meñ ma.asūm qahqahoñ ke biich
sajī hai kyuuñ tire sar par ridā udāsī kī

charāġh shauq se āḳhir vo ho gayā raushan
liye thī qaid meñ jis ko ghaTā udāsī kī

na ho sakā mujhe ma.alūm kar ga.ī kaise
mire vajūd ko larzāñ havā udāsī kī

ġhamoñ kī rut se kabhī dil figār mat honā
ḳhushī luTā ga.ī aksar adā udāsī kī

masarratoñ se kahīñ dil-rubā sitam niklā
lapeTe shaal bahut ḳhushnumā udāsī kī

ajiib haal hai 'ja.afar' badalte mausam kā
kisī ko kar ga.ī shādāñ sazā udāsī kī

jabin pe shahr ki likh kar faza udasi ki
bahut hai KHush koi de kar dua udasi ki

hayat pa na sakegi husain si KHwahish
samaaton mein hai jab tak sada udasi ki

falak ke chand sitaron mein raushni kam hai
mujhe to lagti hai is mein KHata udasi ki

chahakti sham mein masum qahqahon ke bich
saji hai kyun tere sar par rida udasi ki

charagh shauq se aaKHir wo ho gaya raushan
liye thi qaid mein jis ko ghaTa udasi ki

na ho saka mujhe malum kar gai kaise
mere wajud ko larzan hawa udasi ki

ghamon ki rut se kabhi dil figar mat hona
KHushi luTa gai aksar ada udasi ki

masarraton se kahin dil-ruba sitam nikla
lapeTe shaal bahut KHushnuma udasi ki

ajib haal hai 'jafar' badalte mausam ka
kisi ko kar gai shadan saza udasi ki


Leave a comment

+