Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Shahid

  • Ghazal


jada-e-rasti hi kafi hai


jāda-e-rāstī hī kaafī hai
mujh ko ye raushnī hī kaafī hai

is jahāñ meñ guzārne ke liye
muḳhtasar zindagī hī kaafī hai

tujh ko farzāngī mubārak ho
mujh ko dīvāngī hī kaafī hai

kyā zarūrat hai dushmanoñ kī mujhe
aap kī dostī hī kaafī hai

kyā karūñgā maiñ sīm-o-zar le kar
daulat-e-be-ḳhudī hī kaafī hai

dil ke āñgan meñ raushnī ke liye
fikr kī tāzgī hī kaafī hai

is chaman meñ ḳhizāñ-nasīboñ ko
ik kalī adh-khilī hī kaafī hai

lashkar-e-ġham se jītne ke liye
chand-roza ḳhushī hī kaafī hai

aarzū ke nihāl ko 'shāhid'
āñsuoñ kī namī hī kaafī hai

jada-e-rasti hi kafi hai
mujh ko ye raushni hi kafi hai

is jahan mein guzarne ke liye
muKHtasar zindagi hi kafi hai

tujh ko farzangi mubarak ho
mujh ko diwangi hi kafi hai

kya zarurat hai dushmanon ki mujhe
aap ki dosti hi kafi hai

kya karunga main sim-o-zar le kar
daulat-e-be-KHudi hi kafi hai

dil ke aangan mein raushni ke liye
fikr ki tazgi hi kafi hai

is chaman mein KHizan-nasibon ko
ek kali adh-khili hi kafi hai

lashkar-e-gham se jitne ke liye
chand-roza KHushi hi kafi hai

aarzu ke nihaal ko 'shahid'
aansuon ki nami hi kafi hai


Source: Book : Pakistani Adab (Pg. 391) Author : Dr. Rashid Amjad Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009) Edition : 2009

Leave a comment

+