Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yunus Tahseen

  • Ghazal


udas dil ko mohabbat ka aasra degi


udaas dil ko mohabbat kā aasrā degī
vo mujh ko chhū ke mirā hausla baḌhā degī

zarā sī baat sahī us kā dekhnā lekin
zarā sī baat mirī niiñd hī uḌā degī

vo dam darūd kī aadī hai aur mujhe shak hai
vo apnā pyaar mujhe ghol kar pilā degī

tum us kī raushnī takne meñ gum na ho jaanā
vo ek lau hai tumheñ aag bhī lagā degī

sabhī alarm ghaḌī ke fuzūl jā.eñge
kisī ke paañv kī aahaT mujhe jagā degī

tū mere sāmne chup rahnā aur dil kī baat
tumhāre chehre kī rañgat mujhe batā degī

kisī ke pyaar kī mehñdī lagā le hāthoñ par
mahak na degī magar rañg to chaḌhā degī

maiñ jāntā huuñ vo saḌyal mizāj hai 'tahsīn'
magar vo merī ġhazal sun ke muskurā degī

udas dil ko mohabbat ka aasra degi
wo mujh ko chhu ke mera hausla baDha degi

zara si baat sahi us ka dekhna lekin
zara si baat meri nind hi uDa degi

wo dam darud ki aadi hai aur mujhe shak hai
wo apna pyar mujhe ghol kar pila degi

tum us ki raushni takne mein gum na ho jaana
wo ek lau hai tumhein aag bhi laga degi

sabhi alarm ghaDi ke fuzul jaenge
kisi ke panw ki aahaT mujhe jaga degi

tu mere samne chup rahna aur dil ki baat
tumhaare chehre ki rangat mujhe bata degi

kisi ke pyar ki mehndi laga le hathon par
mahak na degi magar rang to chaDha degi

main jaanta hun wo saDyal mizaj hai 'tahsin'
magar wo meri ghazal sun ke muskura degi


Source: Book : Kulliyat-e-Yagana (Pg. 153) Author : Meerza Yagana Changezi Lukhnawi Publication : Farib Book Depot (P) Ltd (2005) Edition : 2005

Leave a comment

+