ham jañgal ke jogī ham ko ek jagah ārām kahāñ
aaj yahāñ kal aur nagar meñ sub.h kahāñ aur shaam kahāñ
ham se bhī piit kī baat karo kuchh ham se bhī logo pyaar karo
tum to pareshāñ ho bhī sakoge ham ko yahāñ pe davām kahāñ
sāñjh-samay kuchh taare nikle pal-bhar chamke Duub ga.e
ambar ambar DhūñDh rahā hai ab unheñ māh-e-tamām kahāñ
dil pe jo biite sah lete haiñ apnī zabāñ meñ kah lete haiñ
'inshā'-jī ham log kahāñ aur 'mīr' kā rañg-e-kalām kahāñ
hum jangal ke jogi hum ko ek jagah aaram kahan
aaj yahan kal aur nagar mein subh kahan aur sham kahan
hum se bhi pit ki baat karo kuchh hum se bhi logo pyar karo
tum to pareshan ho bhi sakoge hum ko yahan pe dawam kahan
sanjh-samay kuchh tare nikle pal-bhar chamke Dub gae
ambar ambar DhunDh raha hai ab unhen mah-e-tamam kahan
dil pe jo bite sah lete hain apni zaban mein kah lete hain
'insha'-ji hum log kahan aur 'mir' ka rang-e-kalam kahan
Source: Kulliyat-e-Wali
Leave a comment