Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Abdul Hafeez Sahil Qadri

  • Ghazal


jo neki kar ke phir dariya mein isko Dal jata hai


jo nekī kar ke phir dariyā meñ is ko Daal jaatā hai
vo jab duniyā se jaatā hai to mālā-māl jaatā hai

sambhal kar hī qadam rakhnā bayābān-e-mohabbat meñ
yahāñ se jo bhī jaatā hai baḌā behāl jaatā hai

kabhī bhūke paḌosī kī ḳhabar to lī nahīñ us ne
magar karne vo umra aur haj har saal jaatā hai

manā.ūñ har baras jashn-e-vilādat kis liye āḳhir
yahāñ har saal merī umr kā ik saal jaatā hai

hai duniyā tak hī apnī dastaras meñ daulat-e-duniyā
faqat hamrāh apne nāma-e-a.amāl jaatā hai

binā dekhe ḳhudā ko māntā huuñ is liye 'sāhil'
koī to hai jo ham ko roz daana Daal jaatā hai

jo neki kar ke phir dariya mein is ko Dal jata hai
wo jab duniya se jata hai to mala-mal jata hai

sambhal kar hi qadam rakhna bayaban-e-mohabbat mein
yahan se jo bhi jata hai baDa behaal jata hai

kabhi bhuke paDosi ki KHabar to li nahin us ne
magar karne wo umra aur haj har sal jata hai

manaun har baras jashn-e-wiladat kis liye aaKHir
yahan har sal meri umr ka ek sal jata hai

hai duniya tak hi apni dastaras mein daulat-e-duniya
faqat hamrah apne nama-e-amal jata hai

bina dekhe KHuda ko manta hun is liye 'sahil'
koi to hai jo hum ko roz dana Dal jata hai


Leave a comment

+