Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Diya Jeem

  • Ghazal


jaisa kahta hai tu waisa nahin karne wali


jaisā kahtā hai tū vaisā nahīñ karne vaalī
ab tire saath maiñ achchhā nahīñ karne vaalī

aise dekho nā mohabbat kā gumāñ hotā hai
va.ada lenā hai to va.ada nahīñ karne vaalī

mujh se vāqif ho to inkār ye karte kyuuñ ho
maan lo pyaar ko rusvā nahīñ karne vaalī

mire āñgan ke sabhī phuul bahut mahñge haiñ
apne gulshan ko maiñ sahrā nahīñ karne vaalī

tū majāzī hai haqīqī to nahīñ hai merā
so tire ishq meñ sajda nahīñ karne vaalī

merī fitrat meñ mohabbat hī faqat gūñdhī ga.ī
apnī fitrat se kināra nahīñ karne vaalī

chāñd āñkhoñ meñ liye phirtī huuñ maiñ aaj 'diyā'
ashk palkoñ kā sitāra nahīñ karne vaalī

jaisa kahta hai tu waisa nahin karne wali
ab tere sath main achchha nahin karne wali

aise dekho na mohabbat ka guman hota hai
wada lena hai to wada nahin karne wali

mujh se waqif ho to inkar ye karte kyun ho
man lo pyar ko ruswa nahin karne wali

mere aangan ke sabhi phul bahut mahnge hain
apne gulshan ko main sahra nahin karne wali

tu majazi hai haqiqi to nahin hai mera
so tere ishq mein sajda nahin karne wali

meri fitrat mein mohabbat hi faqat gundhi gai
apni fitrat se kinara nahin karne wali

chand aankhon mein liye phirti hun main aaj 'diya'
ashk palkon ka sitara nahin karne wali


Leave a comment

+