Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Farah iqbal

  • Ghazal


hamein to sath chalne ka hunar ab tak nahin aaya


hameñ to saath chalne kā hunar ab tak nahīñ aayā
diyā apne muqaddar kā nazar ab tak nahīñ aayā

thiiñ jis bādal ke raste par havā kī muntazir āñkheñ
vo shahroñ tak to aayā thā idhar ab tak nahīñ aayā

na jaane jañgaloñ meñ ham mile kitne daraḳhtoñ se
ghanā jis kā lage saaya shajar ab tak nahīñ aayā

tazabzub ke añdheroñ meñ bhaTaktā hai vo ik va.ada
palaT kar jis ko aanā thā vo ghar ab tak nahīñ aayā

sajānā chhoḌ de phūloñ ko in chāñdī se bāloñ meñ
falak par vo sitārā ik agar ab tak nahīñ aayā

bhulā kar bas zarā sī der sajdoñ kī ibādat ko
ye socho kyuuñ duāoñ meñ asar ab tak nahīñ aayā

jahāñ lākhoñ mohabbat ke charāġhoñ se ujālā ho
'farah' raushan kisī dil kā vo dar ab tak nahīñ aayā

hamein to sath chalne ka hunar ab tak nahin aaya
diya apne muqaddar ka nazar ab tak nahin aaya

thin jis baadal ke raste par hawa ki muntazir aankhen
wo shahron tak to aaya tha idhar ab tak nahin aaya

na jaane jangalon mein hum mile kitne daraKHton se
ghana jis ka lage saya shajar ab tak nahin aaya

tazabzub ke andheron mein bhaTakta hai wo ek wada
palaT kar jis ko aana tha wo ghar ab tak nahin aaya

sajaana chhoD de phulon ko in chandi se baalon mein
falak par wo sitara ek agar ab tak nahin aaya

bhula kar bas zara si der sajdon ki ibaadat ko
ye socho kyun duaon mein asar ab tak nahin aaya

jahan lakhon mohabbat ke charaghon se ujala ho
'farah' raushan kisi dil ka wo dar ab tak nahin aaya


Leave a comment

+