dars detā hai shakebā.ī kā
vo tirā zo.am masīhā.ī kā
tā.ir-e-dīd tamāshā.ī kā
mo'tarif hai tirī gīrā.ī kā
hai yahī sharh-e-hadīs-e-ādam
zindagī naam hai rusvā.ī kā
naqs-e-parvāz-e-nazar hai varna
aa.ina huuñ tirī yaktā.ī kā
ban gayā rah-numā-e-manzil
vo bhaTaknā tire saudā.ī kā
terī mahfil kī fazā-e-rañgīñ
naqsh jaise koī chuġhtā.ī kā
ban gayā soz-e-mohabbat 'farhat'
ik harīf ātish-e-mīnā.ī kā
dars deta hai shakebai ka
wo tera zoam masihai ka
tair-e-did tamashai ka
mo'tarif hai teri girai ka
hai yahi sharh-e-hadis-e-adam
zindagi nam hai ruswai ka
naqs-e-parwaz-e-nazar hai warna
aaina hun teri yaktai ka
ban gaya rah-numa-e-manzil
wo bhaTakna tere saudai ka
teri mahfil ki faza-e-rangin
naqsh jaise koi chughtai ka
ban gaya soz-e-mohabbat 'farhat'
ek harif aatish-e-minai ka
Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)
Leave a comment