Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hakeem Aagha Jan Aish

  • Ghazal


haal dil ka use jatana kya


haal dil kā use jatānā kyā
na sune jo use sunānā kyā

aa.e jab aage aise zālim ke
jaur-e-gardūñ se muñh chhupānā kyā

ham se chaltā hai TeḌh kī ai lo
ho gayā hai falak divānā kyā

sarfaroshoñ kī hai ye ain murād
kū-e-qātil meñ jā ke aanā kyā

pūchhte kyā ho maskan-e-āshiq
be-gharoñ kā ajī Thikānā kyā

jān-o-dil le ke ab ḳhafā hai kyuuñ
ham ne kahnā tirā na maanā kyā

dil-e-ḳhud-rafta kā ilaaj kare
koī nādān aur daanā kyā

le ke dil jo ki dushman-e-jāñ ho
'aish' aise se dil lagānā kyā

haal dil ka use jatana kya
na sune jo use sunana kya

aae jab aage aise zalim ke
jaur-e-gardun se munh chhupana kya

hum se chalta hai TeDh ki ai lo
ho gaya hai falak diwana kya

sarfaroshon ki hai ye ain murad
ku-e-qatil mein ja ke aana kya

puchhte kya ho maskan-e-ashiq
be-gharon ka aji Thikana kya

jaan-o-dil le ke ab KHafa hai kyun
hum ne kahna tera na mana kya

dil-e-KHud-rafta ka ilaj kare
koi nadan aur dana kya

le ke dil jo ki dushman-e-jaan ho
'aish' aise se dil lagana kya


Leave a comment

+