Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dr. Azam

  • Ghazal


zoam ka hi to aariza hai mujhe


zo.am kā hī to āriza hai mujhe
merā maiñ hī to khā gayā hai mujhe

ātish zer-e-pā Thaharne na de
ab to manzil bhī rāsta hai mujhe

dard to kam nahīñ magar us ne
ḳhūgar-e-zabt kar diyā hai mujhe

ḳhud-ġharaz bevafā haqīr-o-faqīr
us ne kyā kyā nahīñ kahā hai mujhe

maiñ talabgār thā masarrat kā
daftar-e-rañj-o-ġham milā hai mujhe

maiñ ne ash.ār kab likhe 'āzam'
mere ash.ār ne likhā hai mujhe

zoam ka hi to aariza hai mujhe
mera main hi to kha gaya hai mujhe

aatish zer-e-pa Thaharne na de
ab to manzil bhi rasta hai mujhe

dard to kam nahin magar us ne
KHugar-e-zabt kar diya hai mujhe

KHud-gharaz bewafa haqir-o-faqir
us ne kya kya nahin kaha hai mujhe

main talabgar tha masarrat ka
daftar-e-ranj-o-gham mila hai mujhe

main ne ashaar kab likhe 'azam'
mere ashaar ne likha hai mujhe


Leave a comment

+