us kī yaad aur dard kī sauġhāt mere saath thī
us se baḌh kar ek tanhā raat mere saath thī
mujh ko tanhā.ī meñ bhī ehsās-e-tanhā.ī na thā
har galī meñ gardish-e-hālāt mere saath thī
rafta rafta band kaliyoñ ke bhī lab khulne lage
āb-e-sabr o hiddat-e-isbāt mere saath thī
band khiḌkī par bhī 'ḳhālid' ek din pahre lage
aisī bhī kuchh sūrat-e-hālāt mere saath thī
us ki yaad aur dard ki saughat mere sath thi
us se baDh kar ek tanha raat mere sath thi
mujh ko tanhai mein bhi ehsas-e-tanhai na tha
har gali mein gardish-e-haalat mere sath thi
rafta rafta band kaliyon ke bhi lab khulne lage
aab-e-sabr o hiddat-e-isbaat mere sath thi
band khiDki par bhi 'KHalid' ek din pahre lage
aisi bhi kuchh surat-e-haalat mere sath thi
Source: Book : Noquush (Pg. B-333 E-339) Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954) Edition : May June 1954
Leave a comment