Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Vikas Joshi Wahid

  • Ghazal


saha umr bhar par jataya nahin


sahā umr bhar par jatāyā nahīñ
tirā zaḳhm ham ne dikhāyā nahīñ

azal se khaḌe haiñ vafā.eñ liye
kisī ne hameñ āzmāyā nahīñ

milā sāf-goī kā ham ko sila
gale se kisī ne lagāyā nahīñ

hamārā hī dukh hai uThā.eñge ham
hai ye bojh apnā parāyā nahīñ

safar zindagī kā rahā is tarah
kaḌī dhuup thī aur saaya nahīñ

jhukā hai to bas bandagī meñ tirī
kahīñ aur sar ye jhukāyā nahīñ

bahut bhā rahī hai na ulfat tumheñ
ye dhokā abhī tum ne khāyā nahīñ

yuuñ 'vāhid' to itnā burā bhī na thā
tujhe zindagī ne nibhāyā nahīñ

saha umr bhar par jataya nahin
tera zaKHm hum ne dikhaya nahin

azal se khaDe hain wafaen liye
kisi ne hamein aazmaya nahin

mila saf-goi ka hum ko sila
gale se kisi ne lagaya nahin

hamara hi dukh hai uThaenge hum
hai ye bojh apna paraya nahin

safar zindagi ka raha is tarah
kaDi dhup thi aur saya nahin

jhuka hai to bas bandagi mein teri
kahin aur sar ye jhukaya nahin

bahut bha rahi hai na ulfat tumhein
ye dhoka abhi tum ne khaya nahin

yun 'wahid' to itna bura bhi na tha
tujhe zindagi ne nibhaya nahin


Leave a comment

+