aaj tak dil kī aarzū hai vahī
phuul murjhā gayā hai bū hai vahī
sau bahāreñ jahāñ meñ aa.ī ga.iiñ
māya-e-sad-bahār tū hai vahī
jo ho puurī vo aarzū hī nahīñ
jo na puurī ho aarzū hai vahī
maan letā huuñ tere va.ade ko
bhuul jaatā huuñ maiñ ki tū hai vahī
tujh se sau baar mil chuke lekin
tujh se milne kī aarzū hai vahī
sabr aa jaa.e is kī kyā ummīd
maiñ vahī, dil vahī hai, tū hai vahī
ho ga.ī hai bahār meñ kuchh aur
varna sāġhar vahī subū hai vahī
umr guzrī talāsh meñ lekin
garmī-hā-e-justujū hai vahī
mai-kade kā 'jalīl' rañg na pūchh
raqs-e-jām o ḳhum o subū hai vahī
aaj tak dil ki aarzu hai wahi
phul murjha gaya hai bu hai wahi
sau bahaaren jahan mein aai gain
maya-e-sad-bahaar tu hai wahi
jo ho puri wo aarzu hi nahin
jo na puri ho aarzu hai wahi
man leta hun tere wade ko
bhul jata hun main ki tu hai wahi
tujh se sau bar mil chuke lekin
tujh se milne ki aarzu hai wahi
sabr aa jae is ki kya ummid
main wahi, dil wahi hai, tu hai wahi
ho gai hai bahaar mein kuchh aur
warna saghar wahi subu hai wahi
umr guzri talash mein lekin
garmi-ha-e-justuju hai wahi
mai-kade ka 'jalil' rang na puchh
raqs-e-jam o KHum o subu hai wahi
Source: Book : Jab Fasl-e-baharn aai thi (Pg. 279) Author : padm Shri Dr. Kaleem Ahmed Aajiz Publication : Sunrise Plastic Works, Patna (1990) Edition : 1990
Leave a comment