Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jafar Abbas

  • Ghazal


ajib baat thi har sher pur-asar Thahra


ajiib baat thī har sher pur-asar Thahrā
maiñ is kī bazm meñ kal raat bā-hunar Thahrā

huā jo aa ke vo mehmān ba.ad muddat ke
lahūñ meñ raqs huā baam par qamar Thahrā

mumāna.at kā taqāzā thā jis se duur raheñ
chaman meñ vo hī shajar sab se bā-samar Thahrā

junūñ kī bhiik kahīñ bhī na mil sakī us ko
gadā-e-hosh yahāñ garche dar-ba-dar Thahrā

ajiib raqs thā bismil kā har tamāshā.ī
taḌap ke dard se yaksar hī be-ḳhabar Thahrā

aqīdatoñ ke dhuñdlakoñ meñ aur kyā hotā
har ek fiqra yahāñ us kā mo'atabar Thahrā

mujhe na qatl kareñ bas payām laayā huuñ
mirī haqīqat hī kyā maiñ to nāma-bar Thahrā

safīna garche kināre pe jā lagā lekin
savāl ye hai idhar Thahrā yā udhar Thahrā

na jaane kitnī hī samteñ bulā rahī haiñ mujhe
har ik qadam pe hai mujh ko nayā safar Thahrā

na dekh paayā koī āñkh-bhar ke ā.īna
ḳhud apnā chehra yahāñ bā.is-e-mafar Thahrā

Thahar ke jis ne bhī kuchh der ḳhud ko dekh liyā
vo apnī vahshat-e-be-jā kā chāragar Thahrā

hai jaane kitne hī pardoñ meñ mahv-e-ārā.ish
jhalak bhī dekh lī jis ne vo dīda-var Thahrā

har ek shai se mohabbat hai bas ilaaj yahāñ
bas ek nusḳha yahī hai jo kārgar Thahrā

shurūa huā thā abhī aur qarīb ḳhatm hai ab
ye zindagī kā safar kitnā muḳhtasar Thahrā

ajib baat thi har sher pur-asar Thahra
main is ki bazm mein kal raat ba-hunar Thahra

hua jo aa ke wo mehman baad muddat ke
lahun mein raqs hua baam par qamar Thahra

mumanat ka taqaza tha jis se dur rahen
chaman mein wo hi shajar sab se ba-samar Thahra

junun ki bhik kahin bhi na mil saki us ko
gada-e-hosh yahan garche dar-ba-dar Thahra

ajib raqs tha bismil ka har tamashai
taDap ke dard se yaksar hi be-KHabar Thahra

aqidaton ke dhundlakon mein aur kya hota
har ek fiqra yahan us ka mo'atabar Thahra

mujhe na qatl karen bas payam laya hun
meri haqiqat hi kya main to nama-bar Thahra

safina garche kinare pe ja laga lekin
sawal ye hai idhar Thahra ya udhar Thahra

na jaane kitni hi samten bula rahi hain mujhe
har ek qadam pe hai mujh ko naya safar Thahra

na dekh paya koi aankh-bhar ke aaina
KHud apna chehra yahan bais-e-mafar Thahra

Thahar ke jis ne bhi kuchh der KHud ko dekh liya
wo apni wahshat-e-be-ja ka chaaragar Thahra

hai jaane kitne hi pardon mein mahw-e-araish
jhalak bhi dekh li jis ne wo dida-war Thahra

har ek shai se mohabbat hai bas ilaj yahan
bas ek nusKHa yahi hai jo kargar Thahra

shurua hua tha abhi aur qarib KHatm hai ab
ye zindagi ka safar kitna muKHtasar Thahra


Source: Book : Lamhaat (Pg. 92) Author : Yunus Ghazi Publication : Educational Publishing House, Delhi (2010) Edition : 2010

Leave a comment

+