Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Vandana Bhardwaj Tiwari Vani

  • Ghazal


yaadon ki rakh mein har lamha dhuan dhuan hai


yādoñ kī raakh meñ har lamha dhuāñ dhuāñ hai
hoñToñ pe bikhrā har ik naġhma dhuāñ dhuāñ hai

maazī kī aag meñ jal ke umr guzrī saarī
ab bujh ga.ī huuñ to ye chehra dhuāñ dhuāñ hai

insāniyat kī lau bujhtī hai galī galī meñ
aur shahr bhar meñ har ik rasta dhuāñ dhuāñ hai

tanhā.ī kī havā se ik sham.a haarī kal shab
kamre kā mere konā konā dhuāñ dhuāñ hai

tū ruuTh kar na mere dil ko jalā mire yaar
lag jā gale ki dil kā sho.ala dhuāñ dhuāñ hai

duniyā kī dhuup meñ jaane kab se hī jhulas kar
mere vajūd kā har zarra dhuāñ dhuāñ hai

ik Thahrī Thahrī sī ḳhvāhish kī tapish se 'vānī'
nam āñkhoñ kā ye giilā sahrā dhuāñ dhuāñ hai

yaadon ki rakh mein har lamha dhuan dhuan hai
honTon pe bikhra har ek naghma dhuan dhuan hai

mazi ki aag mein jal ke umr guzri sari
ab bujh gai hun to ye chehra dhuan dhuan hai

insaniyat ki lau bujhti hai gali gali mein
aur shahr bhar mein har ek rasta dhuan dhuan hai

tanhai ki hawa se ek shama haari kal shab
kamre ka mere kona kona dhuan dhuan hai

tu ruTh kar na mere dil ko jala mere yar
lag ja gale ki dil ka shoala dhuan dhuan hai

duniya ki dhup mein jaane kab se hi jhulas kar
mere wajud ka har zarra dhuan dhuan hai

ek Thahri Thahri si KHwahish ki tapish se 'wani'
nam aankhon ka ye gila sahra dhuan dhuan hai


Leave a comment

+