mujhe aish o ishrat kī qudrat nahīñ hai
karūñ tark-e-duniyā to himmat nahīñ hai
kabhī ġham se mujh ko farāġhat nahīñ hai
kabhī aah o naale se fursat nahīñ hai
safoñ kī safeñ āshiqoñ kī ulaT deñ
qayāmat hai ye koī qāmat nahīñ hai
barastā hai meñh maiñ tarastā huuñ mai ko
ġhazab hai ye bārān-e-rahmat nahīñ hai
mire sar pe zālim na laayā ho jis ko
koī aisī duniyā meñ aafat nahīñ hai
hai milnā mirā faḳhr aalam ko lekin
tire paas kuchh merī hurmat nahīñ hai
maiñ gor-e-ġharībāñ pe jā kar jo dekhā
ba-juz naqsh-e-pā lauh-e-turbat nahīñ hai
burī hī tarah mujh se rūThī haiñ mizhgāñ
unheñ kuchh bhī chashm-e-muravvat nahīñ hai
tū kartā hai iblīs ke kaam zāhid
tire fel par kyūñke lānat nahīñ hai
maiñ dil khol 'tābāñ' kahāñ jā ke ro.uuñ
ki donoñ jahāñ meñ farāġhat nahīñ hai
mujhe aish o ishrat ki qudrat nahin hai
karun tark-e-duniya to himmat nahin hai
kabhi gham se mujh ko faraghat nahin hai
kabhi aah o nale se fursat nahin hai
safon ki safen aashiqon ki ulaT den
qayamat hai ye koi qamat nahin hai
barasta hai meinh main tarasta hun mai ko
ghazab hai ye baran-e-rahmat nahin hai
mere sar pe zalim na laya ho jis ko
koi aisi duniya mein aafat nahin hai
hai milna mera faKHr aalam ko lekin
tere pas kuchh meri hurmat nahin hai
main gor-e-ghariban pe ja kar jo dekha
ba-juz naqsh-e-pa lauh-e-turbat nahin hai
buri hi tarah mujh se ruThi hain mizhgan
unhen kuchh bhi chashm-e-murawwat nahin hai
tu karta hai iblis ke kaam zahid
tere fel par kyunke lanat nahin hai
main dil khol 'taban' kahan ja ke roun
ki donon jahan mein faraghat nahin hai
RECITATIONS
Fasih Akmal
00:00/00:00
mujhe aish o ishrat ki qudrat nahin hai
Fasih Akmal
Source: Book : Shab Charagh (Pg. 129) Author : Bakhtiyar Ziya Publication : Markaz-e-adab (1993) Edition : 1993
Leave a comment