Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zafar Ajmi

  • Ghazal


jaan-e-be-tab ajab tere Thikane nikle


jān-e-be-tāb ajab tere Thikāne nikle
bārish-e-sañg meñ sab ā.ina-ḳhāne nikle

sab baḌe zo.am se aa.e the na.e sūrat-gar
sab ke dāman se vahī ḳhvāb purāne nikle

raat har vādā-o-paimān amar lagtā thā
sub.h ke saath ka.ī uzr bahāne nikle

ai kisī aate hue zinda zamāne ke ḳhayāl
ham tire rāste meñ palkeñ bichhāne nikle

kāsa-e-dard liye kab se khaḌe sochte haiñ
dast-e-imkān se kyā chiiz na jaane nikle

harf-e-inkār sar-e-bazm kahā maiñ ne 'zafar'
laakh andeshe mire dil ko Darāne nikle

jaan-e-be-tab ajab tere Thikane nikle
barish-e-sang mein sab aaina-KHane nikle

sab baDe zoam se aae the nae surat-gar
sab ke daman se wahi KHwab purane nikle

raat har wada-o-paiman amar lagta tha
subh ke sath kai uzr bahane nikle

ai kisi aate hue zinda zamane ke KHayal
hum tere raste mein palken bichhane nikle

kasa-e-dard liye kab se khaDe sochte hain
dast-e-imkan se kya chiz na jaane nikle

harf-e-inkar sar-e-bazm kaha main ne 'zafar'
lakh andeshe mere dil ko Darane nikle


Leave a comment

+