Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Bashir Mehtaab

  • Ghazal


hum hatheli pe jaan rakhte hain


ham hathelī pe jaan rakhte haiñ
aur terī amaan rakhte haiñ

chand ashkoñ ke vāste sāhab
terī bātoñ kā maan rakhte haiñ

tum guzarte ho ajnabī ban kar
ham to dil par chaTān rakhte haiñ

jo bhī haiñ ham bas ik hamīñ haiñ ham
dost kyā kyā gumān rakhte haiñ

mīThī bātoñ se kyā unheñ matlab
har ghaḌī siinā taan rakhte haiñ

kitne shātir haiñ vo mire ham-dam
dil meñ tīr-o-kamān rakhte haiñ

ḳhāmushī maslahat rahī 'mahtāb'
varna ham bhī zabān rakhte haiñ

hum hatheli pe jaan rakhte hain
aur teri aman rakhte hain

chand ashkon ke waste sahab
teri baaton ka man rakhte hain

tum guzarte ho ajnabi ban kar
hum to dil par chaTan rakhte hain

jo bhi hain hum bas ek hamin hain hum
dost kya kya guman rakhte hain

miThi baaton se kya unhen matlab
har ghaDi sina tan rakhte hain

kitne shatir hain wo mere ham-dam
dil mein tir-o-kaman rakhte hain

KHamushi maslahat rahi 'mahtab'
warna hum bhi zaban rakhte hain


Source: Book : Aansuwon Ki Barat (Pg. 116) Author : Ibrat Machhali Shahri Publication : News Town Publishers (2013) Edition : 2013

Leave a comment

+