Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahshar Inayati

  • Ghazal


nind ki aankh-micholi se maza lete hain


niiñd kī āñkh-mīcholī se mazā lete haiñ
pheñk dete haiñ kitāboñ ko uThā lete haiñ

bhūla-bhaTkā sā musāfir koī shāyad mil jaa.e
do qadam chalte haiñ āvāz lagā lete haiñ

abr ke TukḌoñ meñ ḳhurshīd ghirā ho jaise
kahīñ kahte haiñ kahīñ baat chhupā lete haiñ

āñdhiyāñ tez chaleñgī to añdherā hogā
ḳhud bhī aise meñ charāġhoñ ko bujhā lete haiñ

varaq-e-zīst ko rakhnā bhī hai saada 'mahshar'
hāl-e-ġham likhte haiñ aur ashk bahā lete haiñ

nind ki aankh-micholi se maza lete hain
phenk dete hain kitabon ko uTha lete hain

bhula-bhaTka sa musafir koi shayad mil jae
do qadam chalte hain aawaz laga lete hain

abr ke TukDon mein KHurshid ghira ho jaise
kahin kahte hain kahin baat chhupa lete hain

aandhiyan tez chalengi to andhera hoga
KHud bhi aise mein charaghon ko bujha lete hain

waraq-e-zist ko rakhna bhi hai sada 'mahshar'
haal-e-gham likhte hain aur ashk baha lete hain


Leave a comment

+