Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Deepak Sharma Deep

  • Ghazal


hamari jaan tum aisa karogi


hamārī jaan tum aisā karogī
hamārī jaan kā saudā karogī

tabhī ye dil tumheñ deñge batāo
zarā sī baat par rūThā karogī

chalo takiya tumhāre hī sirhāne
vagarna rāt-bhar jhagḌā karogī

hameñ bad-ma.āsh kah kar maar dogī
kaheñge ham agar bosa karogī

ajī ham jānte haiñ ke mirī jaañ
karogī jo bahut achchhā karogī

nigāhoñ se nigāhoñ ko pakaḌ kar
laboñ se haa.e uff tauba karogī

are sharmā rahī ho kyuuñ kaho bhī
nahā kar haa.e kyā pahnā karogī

hamari jaan tum aisa karogi
hamari jaan ka sauda karogi

tabhi ye dil tumhein denge batao
zara si baat par ruTha karogi

chalo takiya tumhaare hi sirhane
wagarna raat-bhar jhagDa karogi

hamein bad-maash kah kar mar dogi
kahenge hum agar bosa karogi

aji hum jaante hain ke meri jaan
karogi jo bahut achchha karogi

nigahon se nigahon ko pakaD kar
labon se hae uff tauba karogi

are sharma rahi ho kyun kaho bhi
naha kar hae kya pahna karogi


Pachas Sala Intekhab"

Leave a comment

+