Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahmood Azhar

  • Ghazal


KHwab aur KHwab ka fusun nahin kuchh


ḳhvāb aur ḳhvāb kā fusūñ nahīñ kuchh
aañkh khul jaa.e to junūñ nahīñ kuchh

husn kahtā hai baat kar mujh se
ishq kahtā hai maiñ kahūñ nahīñ kuchh

aur kuchh chāhiye mohabbat meñ
hālat-e-hāl-e-dil zubūñ nahīñ kuchh

rā.egāñ jā rahe haiñ naqsh mire
ā.ina-ḳhāna hī fuzūñ nahīñ kuchh

tū bahut ehtiyāt kartā thā
tere hāthoñ meñ aaj kyuuñ nahīñ kuchh

āsmāñ yuuñ bhī ham pe girtā hai
saqf to chhoḌiye sutūñ nahīñ kuchh

us ne māthe pe hoñT rakh ke kahā
aaj ye zaḳhm nīlgūñ nahīñ kuchh

lauT aatī hai vo nazar ḳhālī
kyā mirī zaat ke darūñ nahīñ kuchh

kaam sar par paḌe raheñ 'az.har'
aur maiñ baiThā rahūñ karūñ nahīñ kuchh

KHwab aur KHwab ka fusun nahin kuchh
aankh khul jae to junun nahin kuchh

husn kahta hai baat kar mujh se
ishq kahta hai main kahun nahin kuchh

aur kuchh chahiye mohabbat mein
haalat-e-haal-e-dil zubun nahin kuchh

raegan ja rahe hain naqsh mere
aaina-KHana hi fuzun nahin kuchh

tu bahut ehtiyat karta tha
tere hathon mein aaj kyun nahin kuchh

aasman yun bhi hum pe girta hai
saqf to chhoDiye sutun nahin kuchh

us ne mathe pe honT rakh ke kaha
aaj ye zaKHm nilgun nahin kuchh

lauT aati hai wo nazar KHali
kya meri zat ke darun nahin kuchh

kaam sar par paDe rahen 'azhar'
aur main baiTha rahun karun nahin kuchh


Leave a comment

+