Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wahid Premi

  • Ghazal


har-chand husn-saz hun paikar-tarash hun


har-chand husn-sāz huuñ paikar-tarāsh huuñ
lekin ḳhad aa.ine kī tarah paash paash huuñ

dil hī kī dhaḌkanoñ se thī raftār-e-zindagī
jab dil hī mar chukā hai to phir zinda laash huuñ

āThoñ pahar sukūn mayassar nahīñ mujhe
har lamha jo kasaktī rahe vo ḳharāsh huuñ

tasvīr-e-ahd-e-nau hai mujassam mirā vajūd
ālām-e-rozgār huuñ fikr-e-ma.āsh huuñ

mere junūn-e-shauq kī manzil nahīñ koī
ya.anī rah-e-talab meñ sarāpā talāsh huuñ

'vāhid' koī bhī us kī na tashḳhīs kar sakā
vo kaun sā maraz hai jo sāhab-farāsh huuñ

har-chand husn-saz hun paikar-tarash hun
lekin KHad aaine ki tarah pash pash hun

dil hi ki dhaDkanon se thi raftar-e-zindagi
jab dil hi mar chuka hai to phir zinda lash hun

aaThon pahar sukun mayassar nahin mujhe
har lamha jo kasakti rahe wo KHarash hun

taswir-e-ahd-e-nau hai mujassam mera wajud
aalam-e-rozgar hun fikr-e-maash hun

mere junun-e-shauq ki manzil nahin koi
yani rah-e-talab mein sarapa talash hun

'wahid' koi bhi us ki na tashKHis kar saka
wo kaun sa maraz hai jo sahab-farash hun


Pachas Sala Intekhab"

Leave a comment

+