jā-ba-jā aag bichā.ī thī kabhī
apne bas meñ bhī ḳhudā.ī thī kabhī
mere ā.īne meñ ḳhud mere sivā
koī sūrat nazar aa.ī thī kabhī
dushmanoñ se bhī thā yārāna mirā
dostoñ se bhī laḌā.ī thī kabhī
rañg chubhte haiñ jo ab āñkhoñ meñ
apnī tasvīr banā.ī thī kabhī
jab se haiñ apne parā.e bezār
rasm duniyā kī uThā.ī thī kabhī
ham ne bhī dasht ko mahkāyā hai
ham ne bhī ḳhaak uḌaa.ī thī kabhī
khod kar zer-e-zamīñ kuchh na milā
apnī shamshīr chhupā.ī thī kabhī
ab dahaktī hai dobārā 'hamdam'
aag siine meñ dabā.ī thī kabhī
ja-ba-ja aag bichai thi kabhi
apne bas mein bhi KHudai thi kabhi
mere aaine mein KHud mere siwa
koi surat nazar aai thi kabhi
dushmanon se bhi tha yarana mera
doston se bhi laDai thi kabhi
rang chubhte hain jo ab aankhon mein
apni taswir banai thi kabhi
jab se hain apne parae bezar
rasm duniya ki uThai thi kabhi
hum ne bhi dasht ko mahkaya hai
hum ne bhi KHak uDai thi kabhi
khod kar zer-e-zamin kuchh na mila
apni shamshir chhupai thi kabhi
ab dahakti hai dobara 'hamdam'
aag sine mein dabai thi kabhi
Leave a comment