Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faizul Amin Faiz

  • Ghazal


badal raha hai zamana to mere Thenge se


badal rahā hai zamāna to mere Theñge se
hai merā taur purānā to mere Theñge se

jo chaar paise haiñ muTThī meñ bas vo mere haiñ
hai tere paas ḳhazāna to mere Theñge se

kabhī lakīr kā bantā nahīñ faqīr vo shaḳhs
use na maano siyānā to mere Theñge se

mirī kahānī haqīqat pe munhasir hai magar
tujhe lage hai fasāna to mere Theñge se

tirī pasand se miltī nahīñ pasand mirī
yahī hai ek bahāna to mere Theñge se

adū se karnā hai saarā hisāb chuktā 'faiz'
agar vo jā.egā thāna to mere Theñge se

badal raha hai zamana to mere Thenge se
hai mera taur purana to mere Thenge se

jo chaar paise hain muTThi mein bas wo mere hain
hai tere pas KHazana to mere Thenge se

kabhi lakir ka banta nahin faqir wo shaKHs
use na mano siyana to mere Thenge se

meri kahani haqiqat pe munhasir hai magar
tujhe lage hai fasana to mere Thenge se

teri pasand se milti nahin pasand meri
yahi hai ek bahana to mere Thenge se

adu se karna hai sara hisab chukta 'faiz'
agar wo jaega thana to mere Thenge se


Leave a comment

+