Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Unwan Chishti

  • Ghazal


jab zulf sharir ho gai hai


jab zulf sharīr ho ga.ī hai
ḳhud apnī asiir ho ga.ī hai

jannat ke muqāble meñ duniyā
aap apnī nazīr ho ga.ī hai

jo baat tirī zabāñ se niklī
patthar kī lakīr ho ga.ī hai

hoñToñ pe tire hañsī machal kar
jalvoñ kī lakīr ho ga.ī hai

jo aah mirī zabāñ se niklī
arjun kā vo tiir ho ga.ī hai

shāyad koī be-nazīr ban jaa.e
vo badar-e-munīr ho ga.ī hai

ai bād-e-sabā tū chhū ke gesū
ḳhushbū kī safīr ho ga.ī hai

āvāz-e-shikast-e-dil hī 'unvāñ'
āvāz-e-zamīr ho ga.ī hai

jab zulf sharir ho gai hai
KHud apni asir ho gai hai

jannat ke muqable mein duniya
aap apni nazir ho gai hai

jo baat teri zaban se nikli
patthar ki lakir ho gai hai

honTon pe tere hansi machal kar
jalwon ki lakir ho gai hai

jo aah meri zaban se nikli
arjun ka wo tir ho gai hai

shayad koi be-nazir ban jae
wo badar-e-munir ho gai hai

ai baad-e-saba tu chhu ke gesu
KHushbu ki safir ho gai hai

aawaz-e-shikast-e-dil hi 'unwan'
aawaz-e-zamir ho gai hai

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 jab zulf sharir ho gai hai Nomaan Shauque

Leave a comment

+