Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hamdam Kashmiri

  • Ghazal


hum DhunDte phirte rahe taswir hawa ki


ham DhūñDte phirte rahe tasvīr havā kī
paanī pe thiraktī rahī tahrīr havā kī

sunet haiñ samajhte nahīñ matlab na ma.ānī
hotī hai daraḳhtoñ se jo taqrīr havā kī

ehsās nahīñ hai jinheñ be-bāl-o-parī kā
karte haiñ havā meñ vahī ta.amīr havā kī

dekhā hī nahīñ us ko kisī aañkh ne ab tak
khīñchī hai musavvir ne jo tasvīr havā kī

maiñ bar-sar-e-paikār huuñ ḳhud apnī ghuTan se
koī to kare dasht meñ tadbīr havā kī

hum DhunDte phirte rahe taswir hawa ki
pani pe thirakti rahi tahrir hawa ki

sunet hain samajhte nahin matlab na maani
hoti hai daraKHton se jo taqrir hawa ki

ehsas nahin hai jinhen be-baal-o-pari ka
karte hain hawa mein wahi tamir hawa ki

dekha hi nahin us ko kisi aankh ne ab tak
khinchi hai musawwir ne jo taswir hawa ki

main bar-sar-e-paikar hun KHud apni ghuTan se
koi to kare dasht mein tadbir hawa ki


Leave a comment

+