Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wajd Chughtai

  • Ghazal


lagaen aag hi dil mein ki kuchh ujala ho


lagā.eñ aag hī dil meñ ki kuchh ujālā ho
kisī bahāne to is ghar kā bol-bālā ho

numūd-e-sub.h ko kaise kare jahāñ taslīm
koī kiran ho kahīñ naam ko ujālā ho

na tum mile na ye duniyā-e-ġham hī raas aa.ī
tum hī batāo ki is ġham kā kyā izāla ho

ajab ajab sī haiñ afvāheñ garm zindāñ meñ
ajab nahīñ ki isī shab yahāñ ujālā ho

phir us kī baat kā kaise yaqīn aa jaa.e
vo jis kī baat kā andāz hī nirālā ho

kashāñ kashāñ hī chalo ye ravish hī behtar hai
kahīñ na zikr ho apnā na kuchh havāla ho

lagaen aag hi dil mein ki kuchh ujala ho
kisi bahane to is ghar ka bol-baala ho

numud-e-subh ko kaise kare jahan taslim
koi kiran ho kahin nam ko ujala ho

na tum mile na ye duniya-e-gham hi ras aai
tum hi batao ki is gham ka kya izala ho

ajab ajab si hain afwahen garm zindan mein
ajab nahin ki isi shab yahan ujala ho

phir us ki baat ka kaise yaqin aa jae
wo jis ki baat ka andaz hi nirala ho

kashan kashan hi chalo ye rawish hi behtar hai
kahin na zikr ho apna na kuchh hawala ho


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+