poroñ poroñ zaḳhm huī huuñ
ḳhvāboñ kī sīḌhī se girī huuñ
kaasa mirā hai harf-e-tasallī
karam kā sikka maañg rahī huuñ
saa.e meñ us ke baiThnā chāhūñ
sadiyoñ se maiñ thakī huī huuñ
raah ke jis ne ḳhaar chune the
dil se us kī aaj huī huuñ
chehre par hai gard kā shīsha
andar se maiñ chamak rahī huuñ
poron poron zaKHm hui hun
KHwabon ki siDhi se giri hun
kasa mera hai harf-e-tasalli
karam ka sikka mang rahi hun
sae mein us ke baiThna chahun
sadiyon se main thaki hui hun
rah ke jis ne KHar chune the
dil se us ki aaj hui hun
chehre par hai gard ka shisha
andar se main chamak rahi hun
Leave a comment