Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iftikhar Raghib

  • Ghazal


yaad dilao mat un ko wo raat aur din


yaad dilāo mat un ko vo raat aur din
chain unheñ ab aa jaatā hai mere bin

machhlī kaise rahtī hai paanī ke bin
haal se mere ḳhuub haiñ vo vāqif lekin

larzīda lab par thā bhulā to na doge hameñ
nam-dīda āñkhoñ ne kahā thā nā-mumkin

dil ke do harfoñ jaise hī ek haiñ ham
ik mut.harrik har lamha aur ik sākin

chehre se zāhir hai dil kī kaifiyyat
kitnā chhupā.egā koī aks-e-bātin

kis kis kī bātoñ meñ dil aa jaatā hai
kis ko patā hai kab ā.eñge achchhe din

mātam-pursī mat kar ai muñh-zor havā
kitne patte TuuTe ab ta.adād na gin

ehsānāt luTā.e jaate haiñ 'rāġhib'
sabz daraḳhtoñ jaise haiñ mere mohsin

yaad dilao mat un ko wo raat aur din
chain unhen ab aa jata hai mere bin

machhli kaise rahti hai pani ke bin
haal se mere KHub hain wo waqif lekin

larzida lab par tha bhula to na doge hamein
nam-dida aankhon ne kaha tha na-mumkin

dil ke do harfon jaise hi ek hain hum
ek mutharrik har lamha aur ek sakin

chehre se zahir hai dil ki kaifiyyat
kitna chhupaega koi aks-e-baatin

kis kis ki baaton mein dil aa jata hai
kis ko pata hai kab aaenge achchhe din

matam-pursi mat kar ai munh-zor hawa
kitne patte TuTe ab tadad na gin

ehsanat luTae jate hain 'raghib'
sabz daraKHton jaise hain mere mohsin


Leave a comment

+