ye ashk aañkh meñ kis justujū ke saath aa.e
ki tere zikr tirī guftugū ke saath aa.e
maiñ ek naḳhl thā yak-rañgī ḳhizāñ kā asiir
ye saare rañg tirī aarzū ke saath aa.e
jo kho ga.e the kahīñ umr ke dhuñdlakoñ meñ
vo aks phir kisī ā.īna-rū ke saath aa.e
faroġh-e-nashā-e-mai se bhī jī bahal na sakā
bahut se ġham the jo mauj-e-subū ke saath aa.e
gilā na kar jo sar-e-shahr jū-e-ḳhūñ hai ravāñ
ki inqalāb jab aa.e lahū ke saath aa.e
ga.e to sirf matā-e-sukūt le ke ga.e
jo is nagar meñ baḌī hāv-hū ke saath aa.e
'farāsat' ahl-e-jahāñ ham-safar haiñ ḳhushiyoñ ke
maqām-e-rañj talak kab kasū ke saath aa.e
ye ashk aankh mein kis justuju ke sath aae
ki tere zikr teri guftugu ke sath aae
main ek naKHl tha yak-rangi KHizan ka asir
ye sare rang teri aarzu ke sath aae
jo kho gae the kahin umr ke dhundlakon mein
wo aks phir kisi aaina-ru ke sath aae
farogh-e-nasha-e-mai se bhi ji bahal na saka
bahut se gham the jo mauj-e-subu ke sath aae
gila na kar jo sar-e-shahr ju-e-KHun hai rawan
ki inqalab jab aae lahu ke sath aae
gae to sirf mata-e-sukut le ke gae
jo is nagar mein baDi haw-hu ke sath aae
'farasat' ahl-e-jahan ham-safar hain KHushiyon ke
maqam-e-ranj talak kab kasu ke sath aae
Leave a comment