Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jafar Tahir

  • Ghazal


arsa-e-zulmat-e-hayat kaTe


arsa-e-zulmat-e-hayāt kaTe
ham-nafas muskurā ki raat kaTe

samar-e-ārzū kā zikr na chheḌ
chhūne paa.e na the ki haat kaTe

kaash har zulf teġh ban jaa.e
kaash zanjīr-e-hādsāt kaTe

ai baqā-e-davām ke mālik
kis tarah umr-e-be-sabāt kaTe

aadmī justujū-e-rāh meñ hai
tujh ko zid hai rah-e-najāt kaTe

shab-e-ḳhalvat-suḳhan suḳhan kī daad
aur sar-e-bazm baat baat kaTe

arsa-e-zulmat-e-hayat kaTe
ham-nafas muskura ki raat kaTe

samar-e-arzu ka zikr na chheD
chhune pae na the ki hat kaTe

kash har zulf tegh ban jae
kash zanjir-e-hadsat kaTe

ai baqa-e-dawam ke malik
kis tarah umr-e-be-sabaat kaTe

aadmi justuju-e-rah mein hai
tujh ko zid hai rah-e-najat kaTe

shab-e-KHalwat-suKHan suKHan ki dad
aur sar-e-bazm baat baat kaTe


Source: Book : Apna to mile koi (Pg. 49) Author : Devmani Pandey Publication : Amrit parkashan (2012) Edition : 2012

Leave a comment

+