Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wali Uzlat

  • Ghazal


hansun jun gul tere zaKHmon se ulfat isko kahte hain


hañsūñ juuñ gul tire zaḳhmoñ se ulfat is ko kahte haiñ
tū gaalī de duāoñ meñ mohabbat us ko kahte haiñ

nahīñ ġham hashr kā har-chand aafat is ko kahte haiñ
phirūñ yāroñ kā muñh dekhūñ qayāmat is ko kahte haiñ

mire sailāb-ashkoñ meñ bahe duniyā, pa juuñ saayā
na sarkā maiñ jagah se istaqāmat is ko kahte haiñ

atā kar siim shabnam juuñ hañsī sub.h apne ehsāñ par
girah huī gul kī peshānī par izzat is ko kahte haiñ

dam-e-raushan-dilī jo mārte haiñ sham.a se zāhid
kaTe se naak sarkash-tar haiñ zillat is ko kahte haiñ

bagūle sā uḌātā dhuul 'uzlat' vajd kartā hai
sar-e-bāzār rusvā.ī meñ ḳhalvat is ko kahte haiñ

hansun jun gul tere zaKHmon se ulfat is ko kahte hain
tu gali de duaon mein mohabbat us ko kahte hain

nahin gham hashr ka har-chand aafat is ko kahte hain
phirun yaron ka munh dekhun qayamat is ko kahte hain

mere sailab-ashkon mein bahe duniya, pa jun saya
na sarka main jagah se istaqamat is ko kahte hain

ata kar sim shabnam jun hansi subh apne ehsan par
girah hui gul ki peshani par izzat is ko kahte hain

dam-e-raushan-dili jo marte hain shama se zahid
kaTe se nak sarkash-tar hain zillat is ko kahte hain

bagule sa uData dhul 'uzlat' wajd karta hai
sar-e-bazar ruswai mein KHalwat is ko kahte hain


Leave a comment

+