Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahshar Inayati

  • Ghazal


KHush hain bahut mizaj-e-zamana badal ke hum


ḳhush haiñ bahut mizāj-e-zamānā badal ke ham
lekin ye sher kis ko sunā.eñ ġhazal ke ham

ai maslahat chaleñ bhī kahāñ tak sambhal ke ham
andāz kah rahe haiñ ki insāñ haiñ kal ke ham

shāyad urūs-e-zīst kā ghūñghaT ulaT gayā
ab DhūñDne lage haiñ sahāre ajal ke ham

badleñ zarā nigāh ke andāz aap bhī
uTThe haiñ kuchh usuul vafā ke badal ke ham

jaise thakā thakā koī gum-karda kārvāñ
uThte haiñ baiTh jaate haiñ kuchh duur chal ke ham

hañsnā to darkinār hai ro bhī nahīñ sake
'mahshar' chale haiñ kis kī galī se nikal ke ham

KHush hain bahut mizaj-e-zamana badal ke hum
lekin ye sher kis ko sunaen ghazal ke hum

ai maslahat chalen bhi kahan tak sambhal ke hum
andaz kah rahe hain ki insan hain kal ke hum

shayad urus-e-zist ka ghunghaT ulaT gaya
ab DhunDne lage hain sahaare ajal ke hum

badlen zara nigah ke andaz aap bhi
uTThe hain kuchh usul wafa ke badal ke hum

jaise thaka thaka koi gum-karda karwan
uThte hain baiTh jate hain kuchh dur chal ke hum

hansna to darkinar hai ro bhi nahin sake
'mahshar' chale hain kis ki gali se nikal ke hum

RECITATIONS Fasih Akmal



00:00/00:00 KHush hain bahut mizaj-e-zamana badal ke hum Fasih Akmal

Leave a comment

+