hue janāb meñ ab tak na tere ham gustāḳh
ḳhudā ke vāste ham se na ho sanam gustāḳh
chhupāyā rāz-e-mohabbat ko dil meñ par haihāt
kare hai naam mirā bad ye chashm-e-nam gustāḳh
jo aave jī meñ so kah le maiñ huuñ vo ai pyāre
rahūñ hazār huzūrī meñ par huuñ kam gustāḳh
kahā gale se lagā le tū iltifāt nahīñ
kahe hai tis pe mujhe kyuuñ tū dam-ba-dam gustāḳh
yahī ummīd hai 'chandā' ko ḳhūb-rūyoñ meñ
rakhe hamesha terā yā alī karam gustāḳh
hue janab mein ab tak na tere hum gustaKH
KHuda ke waste hum se na ho sanam gustaKH
chhupaya raaz-e-mohabbat ko dil mein par haihat
kare hai nam mera bad ye chashm-e-nam gustaKH
jo aawe ji mein so kah le main hun wo ai pyare
rahun hazar huzuri mein par hun kam gustaKH
kaha gale se laga le tu iltifat nahin
kahe hai tis pe mujhe kyun tu dam-ba-dam gustaKH
yahi ummid hai 'chanda' ko KHub-ruyon mein
rakhe hamesha tera ya ali karam gustaKH
RECITATIONS
Azra Naqvi
00:00/00:00
hue janab mein ab tak na tere hum gustaKH
Azra Naqvi
Leave a comment