Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahshar Inayati

  • Ghazal


dil ko rah rah ke intizar sa hai


dil ko rah rah ke intizār sā hai
kyā kisī samt kuchh ġhubār sā hai

dekh kar kashmakash manāzir kī
aañkh uThānā bhī nāgavār sā hai

zulf-e-gītī sañvārne vaale
sādgī meñ baḌā siñghār sā hai

ik unheñ dekho ik mujhe dekho
vaqt kitnā karishma-kār sā hai

jaane kyuuñ har fasāna-e-māzī
qissa-e-mausam-e-bahār sā hai

aap 'mahshar' se mil ke dekheñ to
aadmī vo bhī burdbār sā hai

dil ko rah rah ke intizar sa hai
kya kisi samt kuchh ghubar sa hai

dekh kar kashmakash manazir ki
aankh uThana bhi nagawar sa hai

zulf-e-giti sanwarne wale
sadgi mein baDa singhaar sa hai

ek unhen dekho ek mujhe dekho
waqt kitna karishma-kar sa hai

jaane kyun har fasana-e-mazi
qissa-e-mausam-e-bahaar sa hai

aap 'mahshar' se mil ke dekhen to
aadmi wo bhi burdbar sa hai


Source: Book : Sahbaa-o-Saman (Pg. 75) Edition : 1st 1979 IInd 2008

Leave a comment

+