Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ved Rahi

  • Ghazal


shab ki tariki baDhti hi jae


shab kī tārīkī baḌhtī hī jaa.e
kaun aatā hai zulf bikhrā.e

jhilmilā.e sitāroñ ke jhurmuT
kis kī palkoñ pe ashk tharrā.e

us kī jo baat hai nirālī hai
dil-e-nādāñ ko kaun samjhā.e

un ko bhūle zamāna hotā hai
ashk ā.ankhoñ meñ phir bhī bhar aa.e

dam-ba-ḳhud saarī kā.enāt huī
ham ne vo giit pyaar ke gaa.e

shab ki tariki baDhti hi jae
kaun aata hai zulf bikhrae

jhilmilae sitaron ke jhurmuT
kis ki palkon pe ashk tharrae

us ki jo baat hai nirali hai
dil-e-nadan ko kaun samjhae

un ko bhule zamana hota hai
ashk aaankhon mein phir bhi bhar aae

dam-ba-KHud sari kaenat hui
hum ne wo git pyar ke gae


Leave a comment

+