Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yaqoob Parwaz

  • Ghazal


main tera hi aaina hun aur bas


maiñ tirā hī aa.ina huuñ aur bas
tujh ko dekhā chāhtā huuñ aur bas

kyuuñ samajhte ho mujhe manzil-numā
TeḌhā-meḌhā rāstā huuñ aur bas

hai abhī mahdūd merī āgahī
maiñ to itnā jāntā huuñ aur bas

koī to khole mirī pechīdgī
maiñ kisī kā zā.icha huuñ aur bas

ab kisī tarmīm kā mat sochnā
maiñ mukammal faisla huuñ aur bas

DhūñDhnā mujh ko koī mushkil nahīñ
bhiiḌ meñ khoyā huā huuñ aur bas

kis jagah aur kab barasnā hai mujhe
maiñ to ik umDī ghaTā huuñ aur bas

laakh huuñ parvāz pur-asrār maiñ
ḳhud hī apnā tarjuma huuñ aur bas

main tera hi aaina hun aur bas
tujh ko dekha chahta hun aur bas

kyun samajhte ho mujhe manzil-numa
TeDha-meDha rasta hun aur bas

hai abhi mahdud meri aagahi
main to itna jaanta hun aur bas

koi to khole meri pechidgi
main kisi ka zaicha hun aur bas

ab kisi tarmim ka mat sochna
main mukammal faisla hun aur bas

DhunDhna mujh ko koi mushkil nahin
bhiD mein khoya hua hun aur bas

kis jagah aur kab barasna hai mujhe
main to ek umDi ghaTa hun aur bas

lakh hun parwaz pur-asrar main
KHud hi apna tarjuma hun aur bas


Leave a comment

+