Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aamir Suhail

  • Ghazal


ek wazifa hai kisi dard ka dohraya hua


ik vazīfa hai kisī dard kā dohrāyā huā
jis kī zad meñ hai pahāḌoñ kā dhuāñ aayā huā

ye tire ishq kī mīqāt ye honī kī adā
dhuup ke shīshe meñ ik ḳhvāb sā phailāyā huā

bāñdh lete haiñ girah meñ usī manzar kī dhanak
ham ne mehmān ko kuchh der hai Thahrāyā huā

tā.iro abr-o-havā bhī haiñ isī uljhan meñ
kaise do hoñToñ ne ik baaġh hai dahkāyā huā

chhed haiñ umr kī poshāk pe tanhā.ī ke
ḳhushnumā qariyoñ meñ huuñ aap se uktāyā huā

raat aatī hai to rakh detī hai phāhā dil par
varna is dasht kā har peḌ hai zaḳhmāyā huā

haDDiyāñ joḌ ke tartīb se us ne 'āmir'
ḳhvāb kā laTThā hai is ruuh ko pahnāyā huā

ek wazifa hai kisi dard ka dohraya hua
jis ki zad mein hai pahaDon ka dhuan aaya hua

ye tere ishq ki miqat ye honi ki ada
dhup ke shishe mein ek KHwab sa phailaya hua

bandh lete hain girah mein usi manzar ki dhanak
hum ne mehman ko kuchh der hai Thahraya hua

tairo abr-o-hawa bhi hain isi uljhan mein
kaise do honTon ne ek bagh hai dahkaya hua

chhed hain umr ki poshak pe tanhai ke
KHushnuma qariyon mein hun aap se uktaya hua

raat aati hai to rakh deti hai phaha dil par
warna is dasht ka har peD hai zaKHmaya hua

haDDiyan joD ke tartib se us ne 'amir'
KHwab ka laTTha hai is ruh ko pahnaya hua


Source: Saamaan-e-Sar-Khushi

Leave a comment

+