Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Habib Jalib

  • Ghazal


hujum dekh ke rasta nahin badalte hum


hujūm dekh ke rasta nahīñ badalte ham
kisī ke Dar se taqāzā nahīñ badalte ham

hazār zer-e-qadam rāsta ho ḳhāroñ kā
jo chal paḌeñ to irāda nahīñ badalte ham

isī liye to nahīñ mo'tabar zamāne meñ
ki rañg-e-sūrat-e-duniyā nahīñ badalte ham

havā ko dekh ke 'jālib' misāl-e-ham-asrāñ
bajā ye zom hamārā nahīñ badalte ham

hujum dekh ke rasta nahin badalte hum
kisi ke Dar se taqaza nahin badalte hum

hazar zer-e-qadam rasta ho KHaron ka
jo chal paDen to irada nahin badalte hum

isi liye to nahin mo'tabar zamane mein
ki rang-e-surat-e-duniya nahin badalte hum

hawa ko dekh ke 'jalib' misal-e-ham-asran
baja ye zom hamara nahin badalte hum

RECITATIONS Habib Jalib



00:00/00:00 hujum dekh ke rasta nahin badalte hum Habib Jalib

Leave a comment

+