na Therī jab koī taskīn-e-dil kī shakl yāroñ meñ
to aa nikle taḌap kar ham tumhāre be-qarāroñ meñ
kisī ke ishq meñ dard-e-jigar se dil ye kahtā hai
idhar bhī aa nikalnā ham bhī haiñ ummīdvāroñ meñ
vo mātam bazm-e-shādī hai tumhārī jis meñ shirkat ho
vo marnā zindagī hai tum jahāñ ho sogvāroñ meñ
ta.allī se ye nafrat hai ki ba.ad-e-marg ḳhaak apnī
agar uThtī bhī hai jā baiThtī hai ḳhāksāroñ meñ
hamāre dil ne ham se bevafā.ī kar ke kyā paayā
vahāñ bhī jā ke Thahrāyā gayā be-e'tibāroñ meñ
vo khīñchūñgā 'jalāl' aaheñ ki us kī ḳhaak uḌā deñgī
falak ne piis Daalā hai samajh kar ḳhāksāroñ meñ
na Theri jab koi taskin-e-dil ki shakl yaron mein
to aa nikle taDap kar hum tumhaare be-qararon mein
kisi ke ishq mein dard-e-jigar se dil ye kahta hai
idhar bhi aa nikalna hum bhi hain ummidwaron mein
wo matam bazm-e-shadi hai tumhaari jis mein shirkat ho
wo marna zindagi hai tum jahan ho sogwaron mein
talli se ye nafrat hai ki baad-e-marg KHak apni
agar uThti bhi hai ja baiThti hai KHaksaron mein
hamare dil ne hum se bewafai kar ke kya paya
wahan bhi ja ke Thahraya gaya be-e'tibaron mein
wo khinchunga 'jalal' aahen ki us ki KHak uDa dengi
falak ne pis Dala hai samajh kar KHaksaron mein
Pachas Sala Intekhab"
Leave a comment