Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hameed Almas

  • Ghazal


uske karam se hai na tumhaari nazar se hai


us ke karam se hai na tumhārī nazar se hai
mausam diloñ kā dard ke raushan shajar se hai

jis se mire vajūd ke pahlū ayaañ hue
shāyad mirā mo.āmla us ke hunar se hai

haa.il huā na koī ta.alluq kī raah meñ
daa.im tamām silsila bint-e-sahar se hai

aayā na vo haram meñ imāmat ke vāste
kuchh rabt hī ajiib use apne ghar se hai

apnī galī meñ nasb hai vo sañg-e-be-navā
kahte haiñ garche vāsta us ko safar se hai

us ke sivā na dil kī hikāyat koī paḌhe
mansūb merī dāstāñ ik dīda-var se hai

mahsūs kis tarah ho mujhe dhuup kā azaab
'almās' kārobār mirā bād-e-tar se hai

us ke karam se hai na tumhaari nazar se hai
mausam dilon ka dard ke raushan shajar se hai

jis se mere wajud ke pahlu ayan hue
shayad mera moamla us ke hunar se hai

hail hua na koi talluq ki rah mein
daim tamam silsila bint-e-sahar se hai

aaya na wo haram mein imamat ke waste
kuchh rabt hi ajib use apne ghar se hai

apni gali mein nasb hai wo sang-e-be-nawa
kahte hain garche wasta us ko safar se hai

us ke siwa na dil ki hikayat koi paDhe
mansub meri dastan ek dida-war se hai

mahsus kis tarah ho mujhe dhup ka azab
'almas' karobar mera baad-e-tar se hai


Leave a comment

+