Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Daud Aurangabadi

  • Ghazal


jag hai mushtaq piw ke darshan ka


jag hai mushtāq piv ke darshan kā
kis kuuñ niiñ ehtiyāj darpan kā

saaf dil hai jo aarsī mānind
nit hai hairāñ jamāl-e-raushan kā

garche honā hai aib-poshī jahāñ
kasb kar iḳhtiyār sozan kā

kyuuñ na hue āshiqī meñ ḳhauf raqīb
har safar meñ ḳhatar hai rahzan kā

zohd-e-zāhid hai ḳhauf-e-mahshar suuñ
taab nāmard kuuñ kahāñ ran kā

ḳhaak ho yaar kī galī mat chhoḌ
garche kuchh mudda.ā hai dāman kā

sabr kar hijr meñ tuuñ ai 'dā.ūd'
dekhnā hai agar sirījan kā

jag hai mushtaq piw ke darshan ka
kis kun nin ehtiyaj darpan ka

saf dil hai jo aarsi manind
nit hai hairan jamal-e-raushan ka

garche hona hai aib-poshi jahan
kasb kar iKHtiyar sozan ka

kyun na hue aashiqi mein KHauf raqib
har safar mein KHatar hai rahzan ka

zohd-e-zahid hai KHauf-e-mahshar sun
tab namard kun kahan ran ka

KHak ho yar ki gali mat chhoD
garche kuchh muddaa hai daman ka

sabr kar hijr mein tun ai 'daud'
dekhna hai agar sirijan ka


Source: Naya Daur,Krachi(Shumara Number-047,048)

Leave a comment

+