Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Chitra Bhardwaj suman

  • Ghazal


nigah-e-mast se ojhal hain manzilen dil ki


nigāh-e-mast se ojhal haiñ manzileñ dil kī
haiñ apnī āḳhirī sāñsoñ pe chāhateñ dil kī

bahā.e jaatā hai dariyā-e-ishq āḳhir tak
bhale hī laakh sambhāle hoñ dhaḌkaneñ dil kī

zarā sī der bhī baiThā nahīñ gayā nazdīk
havā sī ho ga.iiñ āvāra rāhateñ dil kī

jo ḳhud ko qābil-e-kār-e-jahāñ bhī rakhnā thā
to ham bhī ḳhaak hī kar Dāleñ ḳhvāhisheñ dil kī

isī meñ chain-o-sukūñ kyoñ hai jis ne chhīnā hai
samajh se hī raheñ bāhar haiñ sāzisheñ dil kī

pakaḌ rahī ho thakan jab vajūd ke baazū
uThā.e koī bhalā kaise vahshateñ dil kī

ye kis galī se 'suman' ishq apnā guzrā hai
lipaTtī hī ga.iiñ dāman se uljhaneñ dil kī

nigah-e-mast se ojhal hain manzilen dil ki
hain apni aaKHiri sanson pe chahaten dil ki

bahae jata hai dariya-e-ishq aaKHir tak
bhale hi lakh sambhaale hon dhaDkanen dil ki

zara si der bhi baiTha nahin gaya nazdik
hawa si ho gain aawara rahaten dil ki

jo KHud ko qabil-e-kar-e-jahan bhi rakhna tha
to hum bhi KHak hi kar Dalen KHwahishen dil ki

isi mein chain-o-sukun kyon hai jis ne chhina hai
samajh se hi rahen bahar hain sazishen dil ki

pakaD rahi ho thakan jab wajud ke bazu
uThae koi bhala kaise wahshaten dil ki

ye kis gali se 'suman' ishq apna guzra hai
lipaTti hi gain daman se uljhanen dil ki


Leave a comment

+