ġhubār-e-dasht-e-yaksānī se niklā
ye rasta merī be-dhyānī se niklā
na ham vahshat meñ apne ghar se nikle
na sahrā apnī vīrānī se niklā
na niklā kaam koī zabt-e-ġham se
na ashkoñ kī farāvānī se niklā
na āñkheñ hī huiiñ ġharqāb-e-dariyā
na koī aks hī paanī se niklā
udhar niklī vo ḳhushbū shahr-e-gul se
idhar maiñ bāġh-e-vīrānī se niklā
huā ġharqāb shahr-e-jāñ to ye dil
ye dariyā apnī tuġhyānī se niklā
jo niklā shām-e-dasht-e-karbalā se
sitāra ḳhanda-peshānī se niklā
ghubar-e-dasht-e-yaksani se nikla
ye rasta meri be-dhyani se nikla
na hum wahshat mein apne ghar se nikle
na sahra apni virani se nikla
na nikla kaam koi zabt-e-gham se
na ashkon ki farawani se nikla
na aankhen hi huin gharqab-e-dariya
na koi aks hi pani se nikla
udhar nikli wo KHushbu shahr-e-gul se
idhar main bagh-e-virani se nikla
hua gharqab shahr-e-jaan to ye dil
ye dariya apni tughyani se nikla
jo nikla sham-e-dasht-e-karbala se
sitara KHanda-peshani se nikla
Source: Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 280)
Leave a comment