ġham-e-ḳhāshāk kyā sho.ale ko hogā
vo raqsāñ ḳhud hī ik lamhe ko hogā
chaTānoñ kī shikast āsāñ nahīñ hai
bil-āḳhir TūTnā shīshe ko hogā
ḳhayāl-e-dushmanāñ hogā to vo bhī
kisī mujh se hī dil vaale ko hogā
ye ghar to ghar jabhī kahlā.eñge jab
ġham-e-ham-sāya ham-sā.e ko hogā
maiñ jab guzrūñgā is johd-e-safar se
marā pichhlā qadam uThne ko hogā
vo shor uThne lagā bāhar ki ab to
bachānā ghar ke sannāTe ko hogā
zamāne ko bhī ham ne kab kiyā ḳhush
zamāna ham se ḳhush kaahe ko hogā
gham-e-KHashak kya shoale ko hoga
wo raqsan KHud hi ek lamhe ko hoga
chaTanon ki shikast aasan nahin hai
bil-aKHir TuTna shishe ko hoga
KHayal-e-dushmanan hoga to wo bhi
kisi mujh se hi dil wale ko hoga
ye ghar to ghar jabhi kahlaenge jab
gham-e-ham-saya ham-sae ko hoga
main jab guzrunga is johd-e-safar se
mara pichhla qadam uThne ko hoga
wo shor uThne laga bahar ki ab to
bachana ghar ke sannaTe ko hoga
zamane ko bhi hum ne kab kiya KHush
zamana hum se KHush kahe ko hoga
Source: Book : jadeed urdu gazal (Pg. 221)
Leave a comment