begāngī meñ yūñhī guzārā kareñge ham
bechain hoñ to ḳhud ko pukārā kareñge ham
ābādiyoñ ke huzn meñ sahrā ke shahr meñ
bastī na.ī basā ke nazārā kareñge ham
apne dukhoñ ko un kī ḳhushī meñ chhupā.eñge
un kī hañsī kī bheñT utārā kareñge ham
jo jī meñ aa.egā vo kareñge surūr meñ
phir fasl-e-gul ko ba.ad gavārā kareñge ham
nā-āshnā habīb kī be-e'tinā.ī par
bazm-e-taḳhayyulāt sañvārā kareñge ham
az-rū-e-intiqām tire dar tak ā.eñge
az-rū-e-mehar tujh se kinārā kareñge ham
apne har ek jhuuT pe īmān lā.eñge
apnī anā kā bojh utārā kareñge ham
begangi mein yunhi guzara karenge hum
bechain hon to KHud ko pukara karenge hum
aabaadiyon ke huzn mein sahra ke shahr mein
basti nai basa ke nazara karenge hum
apne dukhon ko un ki KHushi mein chhupaenge
un ki hansi ki bhenT utara karenge hum
jo ji mein aaega wo karenge surur mein
phir fasl-e-gul ko baad gawara karenge hum
na-ashna habib ki be-e'tinai par
bazm-e-taKHayyulat sanwara karenge hum
az-ru-e-intiqam tere dar tak aaenge
az-ru-e-mehar tujh se kinara karenge hum
apne har ek jhuT pe iman laenge
apni ana ka bojh utara karenge hum
Leave a comment