Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dinesh Kumar

  • Ghazal


apni manzil ki jo hasrat karna


apnī manzil kī jo hasrat karnā
ghar se chalne kī bhī himmat karnā

koī tujh ko jo amānat sauñpe
jaan de kar bhī hifāzat karnā

kahnā āsān hai karnā mushkil
dushmanoñ se bhī mohabbat karnā

aaj bachpan meñ hai vo baat kahāñ
vaqt be-vaqt sharārat karnā

tere bhītar kā ḳhudā jaag uThe
itnī shiddat se ibādat karnā

jab use dost kahā hai tum ne
us ke dukh dard meñ shirkat karnā

farz aulād kā hotā hai 'dinesh'
apne maañ baap kī ḳhidmat karnā

apni manzil ki jo hasrat karna
ghar se chalne ki bhi himmat karna

koi tujh ko jo amanat saunpe
jaan de kar bhi hifazat karna

kahna aasan hai karna mushkil
dushmanon se bhi mohabbat karna

aaj bachpan mein hai wo baat kahan
waqt be-waqt shararat karna

tere bhitar ka KHuda jag uThe
itni shiddat se ibaadat karna

jab use dost kaha hai tum ne
us ke dukh dard mein shirkat karna

farz aulad ka hota hai 'dinesh'
apne man bap ki KHidmat karna


Leave a comment

+