Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yusuf Taqi

  • Ghazal


dard ki KHushbu se ye mahka raha


dard kī ḳhushbū se ye mahkā rahā
jab kabhī kamre meñ maiñ tanhā rahā

umr kī naddī chaḌhī, utrī, ga.ī
jism kā sahrā magar jaltā rahā

din ko taptī filoñ kī ret par
maiñ to abraq kī tarah bikhrā rahā

raat bhar ik jism kī dīvār se
maiñ calender kī tarah chipkā rahā

shab palañg par hāñpte saa.e rahe
ḳhvāb darvāze khaḌā taktā rahā

yaad kī Dibbī meñ kyuuñ rakkho mujhe
maiñ jalī tiilī huuñ, mujh meñ kyā rahā

dard ki KHushbu se ye mahka raha
jab kabhi kamre mein main tanha raha

umr ki naddi chaDhi, utri, gai
jism ka sahra magar jalta raha

din ko tapti filon ki ret par
main to abraq ki tarah bikhra raha

raat bhar ek jism ki diwar se
main calender ki tarah chipka raha

shab palang par hanpte sae rahe
KHwab darwaze khaDa takta raha

yaad ki Dibbi mein kyun rakkho mujhe
main jali tili hun, mujh mein kya raha


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+